Jab pehla kadam badhaya tha tab hosh na tha,
aur ye khayaal tab bada betukaa sa lagta tha ki
aagey chalkar roka jayega ,
kyunki agar aisa tha toh girkey uthna uthkar chalna sikhaya kyun...
Jab pehla shabd mukh se prasphutit hua tab hosh na tha,
aur ye khayaal tab bada betukaa sa lagta tha
ki aagey chalkar khamosh kiya jayega,
kyunki agar aisa tha toh awaaz sunkar muskuraya kyun...
Jab pehli baar sparsh kiya tab hosh na tha,
aur ye khayaal tab bada betukaa sa lagta tha ki
aagey chalkar toka jayega,
kyunki agar aisa tha toh zindagee mehsus karna bataya kyun...
Jab pehli baar pyaar mila tab hosh na tha,
aur ye khayaal tab bada betukaa sa lagta tha ki
aagey chalkar isey nasamjhi kaha jayega,
kyunki agar aisa tha toh pyaar ka wajood dikhaya kyun...
kya pehli baar se shuru hui zindagee
itni bebuniyadi kalpanaon ka sangrah tha
jisey samay ke saath dafn karna tha,
jo na kar paya usko vastavikta se milaya kyun...
usko shaant kalpana se jagaya kyun...? kyun...?