SHAADI KA JODA

Ek sehmi si sakuchai si
Par ankhon se ghabrai si
Wo dar dar kar kadam badhati hai
Apno se hui parayee si...

Ab neend nahin hai naino main
Aur chain bhi nahi raino main
Kuch bhi kahney ka ankush hai
Sab badal kuch maino main...

Ek lamha tha azaadi ka
Bebak ladakpan khadi ka
Ab hua reshmi kumkum se
Aa gaya muhurat shadi ka

Na saath sakha na sakhiyan hain
Kuch bheegi bheegi ankhiyan hain
Jarjar sa anchal le samet chal di wo
Jismain yadon ki bakhiyan hain.

Kuch sapney naye sanjoye hain
Jagi ankhon se soye hain
Abhas naya ye jeewan ka
Kuch hosh main, kuch khoye hain

Hai raah nai humsafar naya
Wo baat gayee jo beet gaya
Aaney waley kal ka chehra
Ho sundar shiv jee karein

1 comment: