Wo bechaini ab gayee kahan
Jo ishq main hua karti thi
Na hothon se harkat hoti thi
Aur akhein bhi kuch darti thi.
Bin kahey bayan ho jata tha
Jo armaan dil main sota tha
Dil dil se batein karta tha
Aur shor badan main hota tha.
Armaan milan ke liye baith
Bas tak main ye dil hota tha
Mil ke keh dalunga sab
Jo tanhai main, socha hota tha.
Sath bitaye har pal ko sanjo
Baki din kata kartey they
Bas naam tumhara le le kar
Hum ghanton, anhein bhartey they.
Har baar tadap badh jati thi
Jab yad tumhein main karta tha
Na kho dun tumko duniya se
Aisa soch main kitna darta tha.
Tera hona sab kuch hasil
Ye baat samajh main aati thi
Tum mil jaye sab mil jaye
Ye dhadkan harpal gaati thi.
Sringar tera main pranpriye
Chehra tera batlata tha
"Main tera deewana hun"
Main Ye chillatey, aata tha.
Fir aaj talasha un yadon ko
Jo hum, saath banaya kartey they
Jeetey-martey ek dujey par
Na dil kilsaya kartey they.
Wo pyaar toh hai adhikaar nahi
Jo ek dujey sang paya tha
Na shikwe hain na hai sawaal
Na pucha ki "Kuch khaya tha?"
Anjaan jaan ab padti hai
Wo pagdandi ashaon ki
Koi aur raah, jaun kaisey
Bhaee thi zulf ghataon si...
Jo ishq main hua karti thi
Na hothon se harkat hoti thi
Aur akhein bhi kuch darti thi.
Bin kahey bayan ho jata tha
Jo armaan dil main sota tha
Dil dil se batein karta tha
Aur shor badan main hota tha.
Armaan milan ke liye baith
Bas tak main ye dil hota tha
Mil ke keh dalunga sab
Jo tanhai main, socha hota tha.
Sath bitaye har pal ko sanjo
Baki din kata kartey they
Bas naam tumhara le le kar
Hum ghanton, anhein bhartey they.
Har baar tadap badh jati thi
Jab yad tumhein main karta tha
Na kho dun tumko duniya se
Aisa soch main kitna darta tha.
Tera hona sab kuch hasil
Ye baat samajh main aati thi
Tum mil jaye sab mil jaye
Ye dhadkan harpal gaati thi.
Sringar tera main pranpriye
Chehra tera batlata tha
"Main tera deewana hun"
Main Ye chillatey, aata tha.
Fir aaj talasha un yadon ko
Jo hum, saath banaya kartey they
Jeetey-martey ek dujey par
Na dil kilsaya kartey they.
Wo pyaar toh hai adhikaar nahi
Jo ek dujey sang paya tha
Na shikwe hain na hai sawaal
Na pucha ki "Kuch khaya tha?"
Anjaan jaan ab padti hai
Wo pagdandi ashaon ki
Koi aur raah, jaun kaisey
Bhaee thi zulf ghataon si...
nice . . . .
ReplyDeleteiss rooop rang ke chakkar mein
kuch yadein tumne bhula de hain
wo bachpan ki shararat , wo dostane ka jazba
tumhe na sahi par humein toh sataa he deti hain...
Nice one bro
ReplyDelete