Main tumko shabdon mein kehdun
Itna mujhko gyaan nahin
Tum lakshmi ho tum seeta ho
Par maa, tumko abhiman nahi.
Itna mujhko gyaan nahin
Tum lakshmi ho tum seeta ho
Par maa, tumko abhiman nahi.
Bedh sametey jag bhar ka tum
Ho juti huee nij karm mein
Nij karm hai dujon ko dena
Jaisey ho ye maa ke dharm mein.
Ho juti huee nij karm mein
Nij karm hai dujon ko dena
Jaisey ho ye maa ke dharm mein.
Tum svachha saral sheetal ho maa
Tum sneh prem ka vaas ho
Jeevan daayee, poshak, palak
Maa tum tri-devon ka awaas ho.
Tum sneh prem ka vaas ho
Jeevan daayee, poshak, palak
Maa tum tri-devon ka awaas ho.
Hai aadi-ant tum mein vileen
Maa ho vasudha aur neer bhi
Ho jwala bhi, ho vaayu bhi
Maa tum neel gagan na teer bhi.
Maa ho vasudha aur neer bhi
Ho jwala bhi, ho vaayu bhi
Maa tum neel gagan na teer bhi.
Tumsey paakey jeevan maa
Main jeevan kram se mukt hua
Ab aur nahi kuch karna maa
Main shashawat se yukt hua.
Main jeevan kram se mukt hua
Ab aur nahi kuch karna maa
Main shashawat se yukt hua.
Janey kya kya peeda sehkar
Tumney mujhko pala maa
Main hatthi, moorkh, uttand baal
Phir bhi itna prem udala maa.
Tumney mujhko pala maa
Main hatthi, moorkh, uttand baal
Phir bhi itna prem udala maa.
Main kha lun, pee lun, so jaun
Bas meri tabiyat yaad rahi
Tumney nij trid trid de dala
Mujhsey sukhi koi aulaad nahi.
Bas meri tabiyat yaad rahi
Tumney nij trid trid de dala
Mujhsey sukhi koi aulaad nahi.
Terey haathon ka bhojan maa
Jab khata tab jee bharta tha
Jab tujhsey dur raha hun maa
Main lautun ghar jee karta tha.
Jab khata tab jee bharta tha
Jab tujhsey dur raha hun maa
Main lautun ghar jee karta tha.
Main der kabhi jab lauta ghar
Tumney chinta mein daant diya
Merey pasand ke bhojan ko
Apney hissey mein se baant diya.
Tumney chinta mein daant diya
Merey pasand ke bhojan ko
Apney hissey mein se baant diya.
Main roya toh tum bhi royee
Main hansa agar, tum muskai
Main hissa hun maa ke dil ka
Tum har pag meri parchayee.
Main hansa agar, tum muskai
Main hissa hun maa ke dil ka
Tum har pag meri parchayee.
Main jeena seekha tumsey maa
Tumsey achhey ka bodh mila
Sab rang tumhi ne dikhlaye
Satt - Bai Ni Aah, Pee Na La.
Tumsey achhey ka bodh mila
Sab rang tumhi ne dikhlaye
Satt - Bai Ni Aah, Pee Na La.
( Bai-ngani, Ni-la, Aa ( h ) - smani, Pee-la, Na-rangi, La-aal )
Vat vrikhsh sarikhi sthayee tum
Vyaapak ho, haanth pasarey ho
Jab chahye le lein vatsalya
Jo bhi maa tumko pyarey ho.
Vyaapak ho, haanth pasarey ho
Jab chahye le lein vatsalya
Jo bhi maa tumko pyarey ho.
Tum shubhasheesh ka strot sakal
Tum avlokit, tum punya, prabal
Ho reedh meri kaya ka tum
Tum vani veena ki nirmal.
Tum avlokit, tum punya, prabal
Ho reedh meri kaya ka tum
Tum vani veena ki nirmal.
Tumney nij mann ko di udaan
Tumney chalna bhi sikhlaya
Jab gira mujhey sambhala maa
Tumney duniya ko dikhlaya.
Tumney chalna bhi sikhlaya
Jab gira mujhey sambhala maa
Tumney duniya ko dikhlaya.
Bin maa terey, kya hun main ?
Ye samjh supta sa sapna hun
Tujh bin nahi mujhey jag bhata
Tu hai toh sabka apna hun.
Ye samjh supta sa sapna hun
Tujh bin nahi mujhey jag bhata
Tu hai toh sabka apna hun.
Sab rishtey rang badal lein maa
Tum bas, tumsi hee hoti ho
Koi kuch bhi boley maa
Tum merey honey ki anubhuti ho.
Tum bas, tumsi hee hoti ho
Koi kuch bhi boley maa
Tum merey honey ki anubhuti ho.
Main jal hun maa tum kalash koi
Tum nahi toh main batein bikhri
Main nirbal, bhula-bhatka hun
Tum saahas ho, tum disha meri.
Tum nahi toh main batein bikhri
Main nirbal, bhula-bhatka hun
Tum saahas ho, tum disha meri.
Jitna bhi keh lun kam hai maa
Shabdon mein wo baat kahan
Jo ban paya tumney dhala
Meri khudki aukaat kahan.
Shabdon mein wo baat kahan
Jo ban paya tumney dhala
Meri khudki aukaat kahan.
No comments:
Post a Comment